Social Icons

Wednesday, January 30, 2013

Ahmed Faraz

******Ahmed Faraz احمد فراز******
 Ahmad Faraz (Syed Ahmad Shah Ali) was born on 12 January in 1931 at Kohat, N.W.F.P in Pakistan. Faraz is his pseudonym 'takhalus'. He was M.A Urdu and M.A Persian. He was one of the great Urdu poets of the last century. He wrote poetry with a fine but simple style. ahmed Faraz has been copared with Faiz Ahmed Faiz. He has 3 sons. His father name was Syed Muhammad Shah Barq and brother is Syed Masood Kausar. Faraz died in Islamabad on August 25, 2008. You can find here Faraz Shayari, ,  Poetry Sad ، Ahmad Faraz Ghazals.
 Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay
Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay..
اتنے بھی وہ خفا نہیں تھے
جیسے کبھی آشنا نہیں تھے   

Kuch Muhabat Ka
Kuch Muhabat Ka Nasha Tha Pehle Hm Ko Faraz
Dil Jo Tota To Nashe Se Muhabat Ho Gai..

کچھ محبت کا نشہ تھا پہلے ہم کو فراز
 دل جو ٹوٹ تونشے سے محبت ہو گی


Maalal
 Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay
Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hay ..

 اُسے بھی اپنے کیے کا ملال ہونا ہے
ابھی تو عشق میں ایسا بھی حال ہونا ہے

 Mohabbat Nahi Mili

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili

Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili

Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili

Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili

Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili

Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili


ایسا نہیں کے ہم کو محبت نہیں ملی 
تمھیں چاہتے تھے ، پھر الفت نہیں ملی
 ملنے کو تو زندگی میں کہیں ہمسفر ملے
پھر اُن کی طبیت سے طبیت نہیں ملی
چہرے میں دوسروں کے تمھیں ڈوھونٹتے رہے   
صورت نہیں ملی کہیں سیرت نہیں ملی 
بہت دیر سے تُو آیا میرے پاس
الفاظ ڈوھنے کی بھی فرصت نہیں ملی
تجھے گلا ہے توجہ تجءے نہ دی
 لیکن ہم کو تو خود اپنی محبت نہیں ملی
ہم کو تیری ہر ادا اچھی لگی فراز
 افسوس کے تجھ سے میری عادت نہیں ملی

    
 Ab Ke Rut Badli Tou


Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?

Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?

Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?

Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?

Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz”
Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?



Payaam Aaye Hain 

Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe
Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe

Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain
Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe

Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam
Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe

Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe

Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar
Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe

Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer
“Faraz” Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe


Sargashta 
Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay

Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay

Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay

Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay
Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay

Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay

Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay

Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz”
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay


Tanha safri
Tanha Safri Mera Muqdar Thi "Faraz "
Warna Ss Shehry Tamna Se Duniya Guzri Hai 


Tark-e-Taluq
 Humi ne Tark-e-Taluq Main Pehel Ki Ke Faraz,
Woh Chahtaa Tha Magar Hauslaa Na Tha Us Ka..


Mujhe Chand chahiye 
Ab Kun Roshni se Darte ho fara
Tum To Kehte Thay Muje Chand Chahiye

Nishani
 Bikhar Rahe Hain Meri Zindagi Key Tmam Wark
Na Jane Kab Koi Aandhi Ura Ke Le Jaye

Main  Kab Tak Dosron Ke Dukh Sambhan Ka Rakhon Faraz

Jis Jis Ke Hain Nishani Bta Ke Le Jaye


 Badal  Jate Hain
Younhi Mosam Ki Ada Dekh Ke Yaad Aya Hai
Kis Kadar Jald Badal Jate Hain Insan Janaan

Udhar
 Zindagi Se Hum Kuch Udhar Nahi Lete Faraz
Kafan Bi Latey Hain To Zindagi Day Kar
Judayi  
Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki
Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki

Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein
Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki

Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein
Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki

Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se
TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki ?

Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraada.n Ko
Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki ?

Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke
Aap Se Koi Poochay Ham Ne Kia Buraayi Ki ?

Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad
Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihaayi Ki

Dukh Howa Jab Os Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha
Laakh Aib Thay Os Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki


Shaam-e-Wada
 Shaam-e-Wada Sahi, Dukh Zyada Hi Sahi, Phir Bhi Dekho ?Faraz?
Aaj Shab !! Us Ki Furqat Main Keh Lo Ghazal, Kal Usay Dekhna ? !!!

Pehchan
Merey Lafzon Ki  Pehchan Agar Wo Ker Leta Faraz
  Usey Mujh Se Nahi,Khud Se Hi Muhabbat Ho Jati!


Zinda Tha
Zinda tha to kisi ne na pucha haalat-e-jigar,
Ab Mar Gaye hain to mitti main dabanay aagaye,
Chor k dunya ko madhosh huye thy hum,
Woh na janay kya soch kar humko jaganay aagaye,
Na janay kis se pucha hai wafa na pata mera,
Meri qabar pe bhi humko jaganay aagaye,
Hum to andhere main sonay k aadi they,
Or woh bewafa meri qabar per diye jalanay aagaye.
Zinda tha to ek nazar na dekha pyar se Faraz!
Mar gaye hain to ab qabar pe aansu bhane aagaye 


Wafa
Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia 


Muntazir
 Koi muntazir hy uska kitni shidat se”FARAZ”
Woh janta hai pr anjan bna rehta hai


Mohlat  
Ab naye sal ki mohlat nahin milne vali
A chuk ab to shab-o-roz azabon vale
Ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban bolte hain

Ab kahan log muhabbat k nisabon vale
Zinda rahne ki tamanna ho to ho jate hain

Fakhtaon k bhi kirdar uqabon vale
Na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina

Mausam aye hi nahin ab k gulabon vale

Bahane
Wo shaksh to aik choti si Baat pe yun roth k chal dia “FARAZ”
Jaise usay Sadyun se kisi bahane ki Talash thi


Khilone
Uski zindagi mein meri Ahmiyat ek Khilone jesi hai “FARAZ”
Dil karta to Khelta hai dil bharta hai to Torta hai


Neend
Us shakhs se mera sirf itna taluq hai”FARAZ”
Wo agar pareshan ho to mujhe Neend atti nahi hai


Rasm-e-ulfat
Rasm-e-ulfat hai Ijazat nahi deti “FARAZ”
Warna hum bhi tumhain aisa Bhulain k sada yaad rakhon


Chor Diya
Jaane Kis Baat Pe Us Ne Mujhe Chor Diya Hai "Faraz"
Main To Mukhlis Tha Kisi Maan KI Duaon KI Tarah


Saleka
Us Shaks Ko To Bichadeny Ka Saleka Nahi "FARAZ"
Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya


Sochon

 Ab Use Rooz Na Sochon To Badan Toot'ta Hai "FARAZ"
Umer Guzri Hai Uss Ki Yaad Ka Nasha Karte Karte!



 Aankhon
 Woh jo aaye the aankhon mein Sitaray lay kar
Janay kis desh gaye Khab hamaray lay kar
Chaon mein baithnay walay hi to sab say pehlay
Per girta hai to aajatay hain Aaray lay kar
Woh jo aasoodah Sahil hain inhein kia maaloom
Ab kay moj aayi to paltay gi Kinaray lay kar
Aisa lagta hai keh har mosam e hijran mein bahar
Hont rakh deti hai Shakhon peh tumharay lay kar
Shehar walon ko kahan yaad hai woh khab farosh
Phirta rehta tha jo Galyon mein ghubar lay kar
Naqd e jan sirf hua kulfat e hasti mein Faraz
Ab jo zinda hain to kuch Sans udharay lay kar
Mar Mita
 Mein mar mita to woh samjhay yeh inteha thi meri
Isay khabar hi na thi, khak e kimya thi meri
Mein chup hua to woh samjha keh baat khatam huyi
Phir is kay baad to aawaz ja-baja thi meri
Jo taana zan tha meri poshish e daridah par
Isi kay dosh peh rakhi huyi qaba thi meri
Mein is ko yaad karon bhi to yaad aata nahi
Mein is ko bhool gia hon, yahi saza thi meri
Shikast day gia apna gharoor hi is ko
Wgarna is kay moqabil basat kia thi meri
Kahin dimagh kahin Dil kahin badan hi badan
Har ik say dosti yari juda juda thi meri
Koi bhi khoye Muhabbat say phir nahi guzra
Tu shehar ishq mein kia aakhri sada thi meri?
Jo ab ghamand say sar ko uthaye phirta hai
Isi tarah ki tu makhlooq khak e pathi meri
Har aik sher na tha darkhor e qasidah dost
Aur is say taba e rawan khoob aashna thi meri
Mein us ko dekhta rehta tha hairaton say Faraz
Yeh zindagi say taaruf ki ibtada thi meri
 Kabhi Khwabon
 Ab kay hum bichray to shayad kabhi khabon mein milein
Jis tarh sookhay huye phool kitabon mein milein

Dhoon ujray huye logon mein wafa kay moti
Yeh khazanay tujhay mumkin hai kharabon mein milein

Gham e dunya bhi gham yar mein shamil karlo
Nasha barhta hai sharabein jo sharabon mein milein

Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Donon insan hain to kiun itnay hijabon mein milein

Aaj hum dar peh kheinchay gaye jin baaton par
Kia ajab kal woh zamanay ko nasabon mein milein

Ab na woh mein na woh tu hai na woh mazi hai Faraz
Jaisay do shakhs tamnna kay sarabon mein milein.

Shab o Roz 

 Na shab o roz hi badlay hein na Haal acha hai
Kis barhaman nay kaha tha keh yeh Saal acha hai


Hum keh donon kay giraftar rahay, jantay hain
Daam dunya say kahin zulf ka jal acha hai


Mein nay poocha tha keh aakhir yeh taghaful kab tak?
Muskuratay huye bolay keh Sawal acha hai

Dil na manay bhi to aisa hai keh gahe gahe
Yar e be Faiz say halka sa Malal acha hai

Lazzatein Qareeb o Juda ki hain apni apni
Mustaqil hijr hi acha na Wasal acha hai

Rehrowan e rah e ulfat ka moqaddar maaloom
In ka aaghaz hi acha na Maal acha hai

Dosti apni jagah, par yeh haqiqat hai Faraz

Teri ghazlon say kahin tera Ghazal acha hai.
*****Faiz Ahmad Faiz فیض احمد فیض‎*****
Faiz Ahmad Faiz born 13 February 1911 – 20 November 1984 MBE, NI, was an influential left-wing intellectual, revolutionary poet, and one of the most famous poets of the Urdu language from Pakistan. A notable member of the Progressive Writers' Movement (PWM), Faiz was an avowed Marxist. Listed four times for the Nobel Prize in poetry, he received the Lenin Peace Prize by the Soviet Union in 1962. Despite being repeatedly accused of atheism by the political and military establishment, Faiz's poetry suggested a more nuanced relationship with religion in general and with Islam in particular. He was, in fact, greatly inspired by South Asia's Sufi traditions.




 Qarz  e Nigah 
 Qarz  e Nigah  e Yaar Ada Kar Chukay Hain Ham
Sab Kuch Nisaar Rah e Wafa Kar Chukay Hain Ham
Kuch Imtahaan e Dast  e Jafr Kar Chukay Hain Ham
Kuch In Ki Dastras Ka Pata Kar Chukay Hain Ham
Ab Ahtiyaat Ki Koii Soorat Nahi Rahi
Qatil Say Rasm e Rah Siwa Kar Chukay Hain Ham
Dekhay Hain Koun Koun , Zarorat Nahi Rahi
Koye e Sitam Main Sab Ko Khafa Kar Chukay Hain Ham
Ab Apna Ikhtiyaar Hay Chahay Jaha Chalay
Rehbar Say Apni Rah Juda Kar Chukay Hain Ham
Un Ki Nazar Main , Kahi Peekha Hay Ab Bhi Rang
Jitna Lahoo Tha Sarf e  Quba Kar Chukay Hain Ham
Kuch Apnay Dil Ki Khon Ka Bhi Shukrana Chahaiye
So Bar Un Ki Khon Ka Gila Kar Chukay Hain Ham.

 Ghairoun say
 Ghairoun say Iltafaat pe toka tow yun kaha,
Dunia main bat bhi na karain ab kisi say ham?




Qatil
Qatal K Waqt Tarapne Pe Roth Gaya Qatil
Khoon Dora Hua Jaata Hai Manane K Lye
  Insaaf
 Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karo ge,
Munsif ho agar to hashar uthaa kyon nahin dete..
Talkhi-e-Kalaam
Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay

Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay

Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay

Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay

Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay

Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay

Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz”
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay


  Dekh Lia
Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia

Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia

Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia

Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia

“Faiz” Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia


Kartay Rahain Ge
Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge
Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge

Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge
Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge

Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi
Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge

Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara
Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge

Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi Mey Se
Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain Ge

Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se Paida
Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay Rahain Ge

Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak
Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Ge


 Dekho Ge
Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge?
Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekho Ge?

Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana……
Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho Jaana

Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena
Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena

Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi Ro Lena
Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena

Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena
Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga Lena……!


Madaraton Ke Baad
Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad
Phir Banain Ge Aashna Kitni Mulaqaaton Ke Baad ?

Kub Nazar Mein Aaye Gi Be-Daagh Sabzay Ki Bahaar
Khoon Ke Dhabbay Dhulain Ge Kitni Barsaaton Ke Baad ?

Thay Bohat Be-Dard Lamhay Khatam-e-Dard-e-Aashiqui Ke
Theen Bohat Be-Meher Subhain Meherbaan Raaton Ke Baad

Dil Tou Chaaha Per Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hee Na Di
Kuch Gilay Shikway Bhi Kar Laitay Manajaaton Ke Baad

Un Se Jo Kehnay Gaye Thay “Faiz” Jaan Sadqa Kye
An Kahee Hee Reh Gayi Wo Baat Sab Baaton Ke Baad

Din Aa Rahe Hain
Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain
Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain

Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai
Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain

Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Raah Rakh Do
Ke Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain

Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti
Nigahain Churaane Ke Din Aa Rahe Hain

Saba Phir Hamain Puuchti Phir Rahi Hai
Chaman Ko Sajaane Ke Din Aa Rahe Hain

Chalo “Faiz” Phir Se Kahin Dil Lagain
Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain

Kab se

Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se
Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se

Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab
Apne zimey hain tera farz najaney kab se

Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab
Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se

Sar Karo saaz ke cherrein koi dil sooz ghazal
Dhoondta hai dil-e-shoreeda bahaney kab se

Pur karo jaam ke shayed ho isi lahta rawaan
Rok rakha hai jo ik teer kazzaa ne kab se

Faiz phir kab kisi maktal mein karain ge abad
Lab pe veeran hain shaheedon ke fasaney kab se


****Mirza Ghalib  مرزا غالب****
One of the best known urdu poets of all times, Mirza Galib is a name that is synonymous with Urdu poetry. Mirza Ghalib was born in the city of Agra probebly on December 27th , 1996.When his father was died he was only 5 five years old. After the death of father his uncle looked after of him. Both his father and uncle died while he was still young and he spent a good part of his early boyhood with his mother’s family. His mother brought up her two sons on merge pension of Rs.750.00 annually. It was a very difficult time for the family. This of course, began a psychology of ambivalences for him.
Ghalib’s early education has always been a matter of confusion. There are no know records of his formal education, although it was known that his circle of friends in Delhi were some of the most intelligent minds of the time In 1810 when Ghalib was only 13 years old he was married with “Umro begum” she was the doughter of Nawab Ilahi Baksh Khan. After six years he moved to Delhi. His wife gave to seven children, but unfortunately not one survived. He adopted a nepew he was also not alive.It is imposible to say when Ghalib started writing poetry. Perhapes it was as early as his seventh of eight years. He started saying sher in Agra and in Delhi he devoted his full concentration to poetry. Not only urdu poetry but the prose is also indebled to mirza Ghalib. His letters gave foundation to the easy and popular in urdu. In southe Asia he was considered to be one of the most popular and dominate poet of Urdu in past but he has equal popularity at present also. Stil to day Ghalib is popular between Urdu people not only in India and pakistan but also around the world. On february 15th 1869, this great poet breathed his last.











Yaad aaya
Phir tere koche ko jata hai kheyal
  Dil-e gham gushtah magar yaad aaya

Koyi weerani si weerani hai.
Dasht ko dekh k ghar yaad aaya


Main ne majno peh larakpan main Asad
Sangh uthaya tha keh sar yaad aaya.


Na tha khuda
Na tha to khoda tha na hota to khuda hota
Doboya mujhko hone ne na hota main to kia hota

hoa jab gham se yun behis to gham kia sar ke katne ka
na hota gar juda tan se to zanon par dhara hota

huyi muddat keh ghalib mar gia par yaad aata hai
woh har baat par kehna keh yun hota to kia hota


Katti hai
Bat par wan zuban katti hai
Wo kahen aur suna kare koi

Bak raha hun junun main kya kya kuch
Kuch na samjhe Khuda kare koi

Na suno gar bura kahe koi
Na kaho gar bura kare koi

Rok lo gar galat chale koi
Bakhsh do gar khata kare koi

Kaun hai jo nahi hai hajatmand
Kiski hajat rawa kare koi

Kya kiya khijr ne sikandar se
Ab kise rahnuma kare koi

Jab tawaqqo hi uth gayi “Ghalib
Kyon kisi ka gila kare koi 


  Ibn-e-mariym
 Ibn-e-mariym hua kare koi
Mere dukh ki dawa kare koi

Shura-o-ain par madaar sahi
Aise qatil ka kya kare koi

Chal jaise kadi kaman ka tir
Dil main aise k ja kare koi

Bat par wan zuban katti hai
Wo kahen aur suna kare koi



**Parveen Shak:پروین شاکر**
November 24, 1952 – December 26, 1994 was an Urdu poet, teacher and a civil servant of the 
Government of Pakistan.Shakir started writing at an early age and published her first volume of poetry, Khushbu {Fragrance},to great acclaim, in 1976. She subsequently published other volumes of poetry - all well-received - Sad-barg {Marsh Marigold} in 1980, Khud Kalami {Soliloquy} and Inkar {Denial} in 1990, Kaf e Aina {The Mirror's Edge} besides a collection of her newspaper columns, titled Gosha-e-Chashm { The Sight Corner},and was awarded one of Pakistan's highest honours, the Pride of Performance for her outstanding contribution to literature. The poetry books are collected in the volume Mah e Tamam {Full Moon} with the exception of Kaf e Aina. Shakir died in 1994 in a car accident while on her way to work.





















BS AA K CHALE JANA.
Be chain umangon ko behla k chale jana,
Hum tum ko na roken ge bas aa k chale jana,
Milne jo na aaye tumy thee kon c majboori,
Jhoota koi afsana dohra k chale jana,
Jo aag lgi dil may wo sard na ho jaye,
Bujte huey sholon ko brhka k chale jana,
Ujri nazr ati hai jzbat ki hryali,
Tm is pay koi badl brsa k chale jana,
Furqt ki aziat may kch sbr b lazim hai,
Ye baat mere dil ko smjha k chale jana,
BS AA K CHALE JANA.

Lek@n Rehne Do
Saaray WAADON K0 BhuLa Sakti h00n
Lek@n Rehne Do
Mein TuMhe@n Chhorr K Ja Sakti h0on
Lek@n Rehne Do
TuM Jo her Morr Per Keh Dete ho
KHUDA HAF@Z,
Fa@sLa Mein bh@ Suna Sakti hoon
Lek@n Rehne Do!
TuM ne Jo Baat K@ D@LL Ko Dukhanay WaL@
Us Per Mein Muskura Sakti h0on
Lek@n Rehne Do
Sharam Aaye G@ TuMhe@n
Warna TuMhare WAADAY,
Mein TuMhein YAAD D@La Sakti h0un
Lekn Rehne D0″

Mushkil hai ab Shaher main Nikle Koi Ghar se
mushkil hai ab shahar main nikle koi ghar se
dastar pe bat a gai hai hoti hui sar se
barsa bhi to kis dasht k be-faiz badan par
ik umr mere khet the jis abr ko tarse
is bar jo indhan k liye kat k gira hai
chiriyon ko bara pyar tha us burhe shajar se
mehnat meri andhi se to mansub nahin thi
rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se
khud apne se milne ka to yara na tha mujh main
main bhir main gum ho gai tanhai k dar se
benam musafat hi muqaddar hai to kya gam
manzil ka ta’yyun kabhi hota hai safar se
pattharaya hai dil yun k koi ism parha jaye
ye shahar nikalta nahin jadu k asar se
nikle hain to raste main kahin sham bhi hogi
suraj bhi magar ayega is rah-guzar se

Lazzat-e-Gunah
Lazzat-e-gunah ki khatir! jis nay haar di thi Jannat,,,
Meri raggon men bhi to usi Aadam ka khoon hai…

Veeran Zindagi

Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi...!
Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi...!
Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par...!
Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi...!
Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Main...!
Magar Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi
Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga.!
Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta Hi Nahi. 

Dhondti Rhi

Main Lakh Mohtaram Hui Pr Dhondti Rhi!!!!
Lazat Jo Tery Sheher Ki Ruswaiyon Main Thi.



2 comments: